FavLyric#5
Tu rooh hai toh main kaaya banu
Taa-umr main tera saaya banu
Keh de toh ban jaaun bairaag main
Keh de toh main teri maaya banu
(Boi Pagli)
FavLyric#5
Tu rooh hai toh main kaaya banu
Taa-umr main tera saaya banu
Keh de toh ban jaaun bairaag main
Keh de toh main teri maaya banu
FavLyric#4
Kisi Shaayar Ki Ghazal
Jo De Rooh Ko Sukoon Ke Pal
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjaare Ko Ghar
Tadpaye mujhe teri sabhi baatein
Ek bar ae deewane jhoota hi sahi
Pyaar to Kar
Main Bhooli nahi haseen mulaqatein
Bechain karke mujhko mujhse yun na phir nazar
Jis pe hum mar mite
Usko pata bhi nahi
Kya gila hum kare
Woh bewafa bhi nahi
Hum ne jo sun lia
Us ne kaha bhi nahi
Ae dil zara soch kar
Pyar kar.....
Chalo Woh Ishq Nahi
Chahne Ki Aadat Hai
Par Kiya Kareen
Hume Ek Dosre Ki Aadat hai,
Tu Apni Sheesha Gari ka
Na Kar Hunar Zaya
Main Aayena Hoon Mujhe Tootne Ki Adat Hai,
Main Kiya Kahoon Ke Mujhe Sabar Kiyo Nahi Aata
Main Kiya Karoon Ke Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai,
Tere Naseeb Main Aye Dil e Sada Ki Mehroomi
Na Woh Sawali Na Tujhe Mangne Ki Aadat Hai,
Wisal Main Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam
Ke Usko Neend Mujhe Rat Jage Ki Aadat Hai,
Yeh Mushkalin Hun To Pher Kayse Raste Tay Hoon
Main Na Saboor Use Sochne Ki Aadat Hai,
Yeh Khud Aziyati Kab Tak “FARAZ”
Tu Bhi Use Na Kar Yaad Jise Bholne Ki Aadat Hai.
-Ahmed Faraz
Log TuuT jaate haiñ ek ghar banāne meñ
Tum taras nahīñ khāte bastiyāñ jalāne meñ
Har dhaḌakte patthar ko log dil samajhte haiñ
Umreñ biit jaatī haiñ dil ko dil banāne meñ
Dusrī koī laḌkī zindagī meñ aa.egī
Kitnī der lagtī hai us ko bhuul jaane meñ
- Bashir Badr
Khudā kī itnī baḌī kā.enāt meñ maiñ ne
Bas ek shaḳhs ko māñgā mujhe vahī na milā
Bahut ajiib hai ye qurbatoñ kī duurī bhī
Woh mere saath rahā aur mujhe kabhī na milā
- Bashir Badr
Yūñhī be-sabab na phirā karo
Koī shaam ghar meñ rahā karo
Woh ġhazal kī sachchī kitāb hai
Use chupke chupke paḌhā karo
Abhī raah meñ ka.ī moḌ haiñ
Koī aa.egā koī jā.egā
Tumheñ jis ne dil se bhulā diyā
Use bhūlne kī duā karo.
- Bashir Badr
Tumhāre saath ye mausam farishtoñ jaisā hai
Tumhāre ba.ad ye mausam bahut satā.egā
- Bashir Badr
যে ছেলের জন্য কেঁদে কেঁদে আরেকটা প্রশান্ত মহাসাগর বানিয়ে ফেলবেন, সে আপনার এই সমুদ্র হেলায় পাড়ি দেবে নতুন কোন সায়রে পানসি ভেড়াতে।
যে মেয়েটার জন্য বুকের রক্ত ঝরাবেন, আপনার সেই রক্ত আলতায় গুলে দুই পা রাঙিয়ে সে চলে যাবে অন্যের কাছে ...
কাউকে এত্ত ভালবাসতে নেই....