Friday, August 26, 2022

WOH ISHQ NAHI- AHMED FARAZ

Chalo Woh Ishq Nahi
Chahne Ki Aadat Hai
Par Kiya Kareen
Hume Ek Dosre Ki Aadat hai,

Tu Apni Sheesha Gari ka
Na Kar Hunar Zaya
Main Aayena Hoon Mujhe Tootne Ki Adat Hai,

Main Kiya Kahoon Ke Mujhe Sabar Kiyo Nahi Aata
Main Kiya Karoon Ke Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai,

Tere Naseeb Main Aye Dil e Sada Ki Mehroomi
Na Woh Sawali Na Tujhe Mangne Ki Aadat Hai,

Wisal Main Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam
Ke Usko Neend Mujhe Rat Jage Ki Aadat Hai,

Yeh Mushkalin Hun To Pher Kayse Raste Tay Hoon
Main Na Saboor Use Sochne Ki Aadat Hai,

Yeh Khud Aziyati Kab Tak “FARAZ”
Tu Bhi Use Na Kar Yaad Jise Bholne Ki Aadat Hai.

-Ahmed Faraz

SHAYERIPAAN- 4

Log TuuT jaate haiñ ek ghar banāne meñ
Tum taras nahīñ khāte bastiyāñ jalāne meñ

Har dhaḌakte patthar ko log dil samajhte haiñ
Umreñ biit jaatī haiñ dil ko dil banāne meñ

Dusrī koī laḌkī zindagī meñ aa.egī
Kitnī der lagtī hai us ko bhuul jaane meñ

- Bashir Badr

SHAYERIPAAN- 3

Khudā kī itnī baḌī kā.enāt meñ maiñ ne
Bas ek shaḳhs ko māñgā mujhe vahī na milā

Bahut ajiib hai ye qurbatoñ kī duurī bhī
Woh mere saath rahā aur mujhe kabhī na milā

- Bashir Badr

SHAYERIPAAN- 2

Yūñhī be-sabab na phirā karo
Koī shaam ghar meñ rahā karo
Woh ġhazal kī sachchī kitāb hai
Use chupke chupke paḌhā karo

Abhī raah meñ ka.ī moḌ haiñ
Koī aa.egā koī jā.egā
Tumheñ jis ne dil se bhulā diyā
Use bhūlne kī duā karo.

- Bashir Badr

SHAYERIPAAN- 1

Tumhāre saath ye mausam farishtoñ jaisā hai
Tumhāre ba.ad ye mausam bahut satā.egā

- Bashir Badr